Misoprostol kay Zariye Mehfooz Paidiesh

Paidiesh kay doran ziyada khoon ka bahawo Jo kay PPH (Postpartum hemorrhage) ka sabab banta hai, jis main khawateen ki Mout wakiya ho skti hai. Is bhari khoon kay bahawo se (25%) tak Imwat ho skti hain. 14 million yani 1 caror 40 lac khawateen har sal Paidiesh kay Marhalay se guzarti hain. Jis main bht si Bhari khoon kay bahawo ka samna karti hain.

Agar hum or asani se is bat ko samjhain tu har (10 khawateen main 1 khatoon PPH ka shikar hoti hai) or har (100 khawateen main 1 khatoon) ki PPH se Paidiesh se Mout wakiya hoti hai.

Misoprostol Paidiesh kay foran bad istemal karna (PPH) ki sharha ko kam karti hai. Or ye sharha (60%) tak kam ho jati hai.

Hum yahan AP ki madad kay liye ap ko batye gay kay ap kesy is Bhari khoon ki sharha ko or PPH ko kam kar sktay hain agar ap ghar main delivery case yahi Paidiesh ka case kar rahi hain tu:

Jub Koi khatoon Hospital main bachay ko janam deti hai tu wahan kayi kism ki medicine or treatments hoti hain jis se PPH jesi sorat-e-hal se nimta ja skta hai, magar ghar main ye kam thora mushkil hota hai.

 

Agar ghar main Paidiesh hoti hai tu khatoon ko Misoprostol Paidiesh kay foran bad deni chahye, Kuan kay ye (60 %) tak khoon kay bahawo ko kam karti hai. or PPH ko rokti hai. magar Misoprostol Anool yani Placenta nikalnay se pehle or bachay ki Paidiesh kay bad deni chahye Kuan kay ye Reham main dabawo paida karti hai jis se Placenta, (womb) yani Reham se bahir aa jata hai.

                 

Paidiesh Kay Amal kay liye zarori saman or Aalat:

  1. sterile scalpel yani (Blade or knife)
  2. Clean saf Threads
  3. 3 Misoprostol ki goliyan

Khawateen khud bhi Misoprostol ki goliyan le skti hain ya Paidiesh kay doran jo bhi wahan mojood ho mareez ko de skta hai.

 

 

 

Paidiesh main 4 steps zarori hain:

  • Paidiesh kay foran bad he bachay ko Maa kay pait ya Chati kay qareeb karna chahye, takay Maa Bachay ko Doodh pila skay.
  • HIV/AIDS ki khawateen bachoon ko Doodh pilanay se parheez Karen kuan kay aisi sorat main HIV ka Virus bachay main dakhil ho skta hai. 
  • Bachay ka sir kisi garm kapray ya kambal se dhamp dena chahye.

 

Bachay Ki Paidiesh kay 1 minute bad:

  1. Bachay ki Paidiesh kay 1 minute bad Maa kay Pait ko check karna chahye kay kahin Reham main dosra bacha tu nhi hai kia?

Is soratay hal main Misoprostol bht nuksan de sabit ho skti hai, Is ka asar bachay kay ilawa main kay Reham or bacha Dani par bhi ho skta hai jis se Reham dani phat skti hai.

 

  1. Misoprostol ki (3 goliyan) Khatoon ki zuban kay neche rakhain, har Goli 200mcg ki honi chahye, 3 Goliyan 600 mcg kia hongi total. Or in 3 goliyan ko zuban kay neche he khatam karna ho ga, IS ko akhir main ap Nighal bhi skti hain. Is kay bad Reham Bacha Dani main Dabawo Paida hoga. Or Khatoon ko Ulti, Qay, Matli bhi aa skti hai is kay ilawa Sir main dard, Pait main dard, Bukhar, Pait kharab jesy cheezain ho skti hain.

 

  1. Naff (umbilical cord) Ko Chutki Se Bandh Dena chahye or phir kuch dair bad isy sterile scalpel se katna chahye. Or yad rahay kay Anool yani Placenta kay bahir anay ka intezar karna chahye.

 

  1. Reham Bacha Dani Pait ka Massage karna chahye, Massage ka tareeka ye hai. Har 15 mint bad Malish karni chahye or ye Malish (massage) Paidiesh kay bad 2 ghantay tak jari rakhain. Massage ka tareeqa Picture main dekha ja skta hai.

 

 

Agar Khatoon Bhari khoon ya PPH ka phir bhi shikar ho tu wo 4 Goliyan Misoprostol ki or bhi le skti hai, ya AP os ki madad kay liye osy ye pills de sktay hain. In goliyoon kay istemal se PPH ki sharha kam ho jaye gi.

 

 

Note:

  • Kisi Bhi Mushkil ya Emergency kay liye har waqt tayar rehna chahye. Is liye is bat ki bhi tayari rakhni chahye kay agar Mareez ki tabiat Paidiesh kay doran bighar jaye tu osy forum hospital le jaya ja skay.
  • Agar Placenta 30 mint main bahir na aye tu tub bhi fori tor par hospital jayen.
  • Agar Mareez Khatoon Misoprostol Khanay kay bad bhi Bhari Khoon anay ka shikar ho ya PPH ho jaye.

 

 

v Definition of PPH (Postpartum hemorrhage):

Jub Bhari mikdar main Paidiesh kay doran bhari mikdar main khoon ata hai tu osy medical science ki zuban main PPH (Postpartum hemorrhage) kehtay hain. Is blood pe kabo panay kay liye Misoprostol ka istemal kiya jata hai.

Misoprostol for PPH statement by ICA

Also see  http://www.figo.org/projects/figo-misoprostol-post-partum-haemorrhage

Misoprostol Cytotec, pastilla aborto
The best and safest way a woman can do an abortion herself until the 9th week of pregnancy is with the use of two medicines called Mifepristone (also known as the abortion pill, RU 486, Mifegyn

Abortion Facts

We are fighting for womens rights to a safe and legal choice. In many countries

Download the Abortion App

For use by women:

Training Manuals

Everybody interested to learn how to provide information about the best use of…

Misoprostol in Obstetrics and Gynaecology

Misoprostol tablets are on the list of essential medicines of the World Health…